07

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴





*🥀 Kya Huzoor Ka Wisal 12 Rabi Ul Awwal Ko Huwa Hai 🥀*




*🅿ART 07*

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

🌀 *Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Wisaal Kis Din Ko Huwa?*

⚠ Ab wisaal kis din huwa uske saboot me bhi hum Hadees E Sahi pesh karte hai

✅ *Hadees 03:*

💠 “Hazrat Anas Ibn Malik Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم K Marjul Maut k wakt Hazrat Abu Baqr Siddique رضي الله عنه Namaz padhate the Wo Peer Ka Din Tha

💠 *Jab Log Namaz Me Saff Bandhe Khade Huwe The To Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ne Apne Huzre E Mubarak Se Parda hataya aur Hamari Taraf Dekh Rahe The Aapka Chahre Mubarak Goya Mushaaf Ka Waraq Tha*

💠 Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Muskura Rahe The Hume Itni Khusi Huwi k Khatra Hogaya k Kaheen Hum Sab Aap Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ko Dekhne Me Hi Naa Mashgul Hojaye Aur Namaz Tod De

💠 Hazrat Abu Bakr Piche Hatke Saaf k Saath Aa Milna Chahte The Wo Samjhe Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Namaz K Liye Tashrif Laa Rahe Hai Lekin Huzoor Rehmat E Aalam Ne Ishara Kiya K Namaz Puri Karlo phir Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Parda daal Diya Aur Ussi Din Aap ki Wafat huwi”

📚 *References:*
📘 *(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg : 386, Kitabul Azaan, Hadees : 680)*
📘 *(Sahi Muslim, Vol : 01, Pg : 534, Kitabus Salat, Hadees : 944, ‘Online No : 419’)*




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ईमान के झंडे और शैतान के झंडे में क्या फ़र्क है* 06

क्या हुज़ूर ﷺ ने कभी सवाल करने वाले को मना फ़रमाया है* 05

क्या हुज़ूर ﷺ के विसाल के बाद से ही मस्जिदें नबवी शरीफ़ को गुम्बदे खज़रा कहा जाता है या पहले भी कहा जाता था* 02