KYA HUZOOR KA WISAL 12 RABI UL KO HUWA HAI 02

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴





*🥀 Kya Huzoor Ka Wisal 12 Rabi Ul Awwal Ko Huwa Hai 🥀*




*🅿ART 02*

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

⚠ *Aaye Ab Hadees Aur Tareekh ki kitabo me Is Talluq se Kya Likha Hai k Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal Kab Huwa? Iske Talluk se hume jo milta hai wo yaha pesh karte hai.*

1⃣ *12 Rabi Ul Awwal:*
💠 Ye qaul Umool Momineen Sayeeda Tahira Ayesha Siddiqa رضي الله عنها Aur Hazrat Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه ki Taraf Mansoob hai. 
📘 *(Ibn Kathir Al Badaya Wan Nahaya Vol : 05, Pg : 256)*

✳ Ye Rivayat Jo 12 Rabi Awwal ki hai is rivayat me Ravi Hai “Imam Muhammad Ibn Umar Al Waqidi Aur “Muhammad ibn Ali Ibn Subarrah” jinpe Muhadiseen ki kaafi jirah Hai ye dono raavi Sayyida Ayesha رضي الله عنها k rivayat me hai.

❎ *Imam Ali bin Al Madeeni, Imam Abu Hatim Razi, Imam Yahya Ibn Moeen رضوان الله اجمعين ne kaha Imam Waqidi Siqaah Nahi Hai.*
❎ *Imam Ahmad Ibn Hambal ne Kaha Imam Waqidi Hadees ghadte hai.*
❎ *Imam Hatim Aur Imam Bukhari Ne Kaha Imam Waqidi Masrooq Hai Yaani Rejected.*

❎ *Imam Murrah Kehte Hain Imam Waqidi Se Koi Hadees naa le.*
❎ *Imam ibn Aadi Ne Kaha Imam Waqidi Par Aimma Ki Jirraah hai.*
✳ *Imam Zahbi Ne Kaha Muhadiseen Ne Waqidi Ko Zaeef Kaha Hai.*
📘 *(Al Mizan Ul Aitedaal Fi Naqd Ul Rijaal Vol : 02, Pg : 425 - 426)*

➿ Yaha Ye Bhi Kaha Jaa Sakta Hai k Baaz Muhadiseen Ne Imam Waqidi ko Bhi Siqaah qaraar Diya Hai Ye baat Bhi Sahi Hai Lekin Agar Yaha Imam Waqidi Ko Siqaah bhi maane uske baad bhi Ye rivayat 12 Rabi Ul Awwal Ki Maotabar Nahi saabit hosakti kyuki Is Rivayat karne me ek dusra raavi bhi hai jispar bhi Muhadiseen ki khoob jirah hai wo hai

❎ *“Muhammad ibn Ali Ibn Suburrah” inke baare me Imam Ahmad Ibn Hambal kahte hai Ye Hadees Gadte The.*
📘 *(Al Mizan Ul Aitedaal Fi Naqd Ul Rijaal Vol : 02, Pg : 397)*





👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ईमान के झंडे और शैतान के झंडे में क्या फ़र्क है* 06

क्या हुज़ूर ﷺ ने कभी सवाल करने वाले को मना फ़रमाया है* 05

क्या हुज़ूर ﷺ के विसाल के बाद से ही मस्जिदें नबवी शरीफ़ को गुम्बदे खज़रा कहा जाता है या पहले भी कहा जाता था* 02