MILAD KI SHARAI HAISIYAT 01

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴





*🥀 Melad Ki Sharai Haisiyat 🥀*




بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

*Post I*

*Eid E Melad Un Nabi ﷺ Ki Sharai Hasiyat*

Mahe Rabiul Awwal Mein Umooman awr 12 Rabiul Awwal ko Khususan Aaqa E Do Jahan ﷺ ki Wiladat Ba Sa'adat ki khushi me pore aalame Islam mein Mahafile Melad munaqid ki jati hain awr Melad Un Nabi ﷺ ki Khushi Manai Jati hai. Huzoor E Akram ﷺ ka Melad Manana Jaiz O Mustahab awr Mohabbate Rasool ﷺ ki Alamat hai awr Iski Asal Qur'an O Sunnat se Sabit hai. 

✅ Zikre Melad E Mustafa ﷺ Hukum E Qur'ani bhi hai awr Sunnate Ilahi bhi ✅

Irsh'ade Bari Ta'ala Hua : "Awr Inhe ALLAH ke Din Yaad Dilao" (Surah Ibrahim Ayat 05) Imamul Mufassareen Sayeduna Abdullah Bin Abbas ke Nazdeek Ayam Ullah se Murad wo din hain jisme Rab E Ta'ala ki kisi Nem'at ka nuzool hua ho : in ayam me sabse badi Nem'at ke din Sayyad E Aalam ﷺ ki Wiladat O Meraaj ke din hain, unki yaad qayam karna bhi is ayat ke Hukum me dakhil hai". (Tafseere Khazain Ul Irfan) 

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

_Nisaar Teri Chahal Pahal Par Hazaron Eidain Rabiul Awwal_
_Siwae Iblees Ke Jahan Mein Sabhi To Khushiyan Mana Rahe Hain_




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ईमान के झंडे और शैतान के झंडे में क्या फ़र्क है* 06

क्या हुज़ूर ﷺ ने कभी सवाल करने वाले को मना फ़रमाया है* 05

क्या हुज़ूर ﷺ के विसाल के बाद से ही मस्जिदें नबवी शरीफ़ को गुम्बदे खज़रा कहा जाता है या पहले भी कहा जाता था* 02