04

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴





*🥀 Melad Ki Sharai Haisiyat 🥀*





بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*Post IV*

💟 Melad E Nabi ﷺ, Sahaba Kiraam Ki Sunnat Hai 💟

Mehfil E Melad me Rasool E Kareem ﷺ ki Wiladate Ba Sa'adat, Us Waqt ke Moujezaat awr Aapke Fazail Wa Khasais ka Tazkirah kiya jata hai khwa Nasr ki surat me hoya Manzoom. aisi beshumaar Ahadees hain jinme Sahaba E Kiraam ne Aaqa O Moula ﷺ ke Melad, Moujezaat awr Fazail O Khasais Bayan kiye hain. agar yeh Baatein Najaiz hoti to Sahaba Kiraam inhe kabhi riwayat na farmate awr na hi Muhadiseen inhe apni Kutub me Naql karte. Namwar Muhadiseen Imam Ibne Jouzi, Imam Saqawi, Imam Ibne Kaseer, Imam Suyuti awr Muhadise Ali Qari رحمهم الله تعالى ne Melad Un Nabi ﷺ ke Unwan par Baqaedah Kitabein Tehreer ki jabke Imam Tirmizi رحمته الله عليه ne to Jamia Tirmizi me Ek Baab ka Unwan hi yeh likha "Baab Ma'a Ja'a Fi Melad Un Nabi ﷺ"

Moulvi Abdul Haq Lakhnawi ne bhi iqraar kiya haike ye Haqiqat (Yani Melad Manana) Rasool E Kareem ﷺ awr Sahaba Kiraam ke Zamane me Moujud thi agarche ye Naam O Unwan nahi tha. Fun E Hadees ke Mahireen se yeh Baath poshida nahi ke Sahaba Kiraam apni Majalis E Waaz O Taleem me Nabi Kareem ﷺ ke Fazail awr Aapki Wiladat ke Halaath ka Zikr Kiya karte thy". (Majmuae Fatawa J1 P43)

Rasool E Muazam Noor E Mujassam ﷺ ke Mubarak Zamane me Sahaba Kiraam ki Chnd Mahafeel E Melad ka Zikr Mulaheza farmayein jinme Naatein bhi padhi gayein. 

✔ Huzoor ﷺ ne Hazrat Hass'an رضى الله عنه Keliye Minbar par Chadar Bichai awr Inhone Minbar par Naat Padhi, Phir Aapne Inkeliye Dua Farmai. (Sahih Bukhari J1 P65)




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ईमान के झंडे और शैतान के झंडे में क्या फ़र्क है* 06

क्या हुज़ूर ﷺ ने कभी सवाल करने वाले को मना फ़रमाया है* 05

क्या हुज़ूर ﷺ के विसाल के बाद से ही मस्जिदें नबवी शरीफ़ को गुम्बदे खज़रा कहा जाता है या पहले भी कहा जाता था* 02