05

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴





*🥀 Melad Ki Sharai Haisiyat 🥀*




بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*Post V*

💟 Melad E Nabi ﷺ, Sahaba Kiraam Ki Sunnat Hai 💟

✔ Hazrat Abbas رضى الله تعالى عنه ne Gazwaye Tabook se wapasi par Baargahe Risalat Zikre Melad par Mubni Ashaar pesh kiye. (Asad, Alghaba J2 P129) 

Khaas Ne'mat ke Nuzool ke din ko Eid banana Nabi ka tariqa hai : baaz log yeh waswasa andazi karte hain ke Islaam me sirf 2⃣ Eidain hain lehaza Teesri Eid Haram hai (Maaz ALLAH). yeh Nazariya Batil hai. Qur'an Kareem se rehnumai lijiye. 

💯 Irsha'ade Bari Ta'ala hai "Esa Bin Mariyam ne Arz ki, Aye ALLAH ! Aye Hamare Rab ! Hum par Aasmaan se ek (Khane Ka) Dastarkhwan Utar ke woh hamare liye Eid ho hamare aglo pichlo ki" (Al Maidah : 114) Yani Hum iske Nuzool ke Din ko Eid Banayein, Iski Tazeem karein, Khushiyan Manayein, Teri Ibadat Karein, Shukr Baja layein. Isse Maloom Hua ke Jisroz ALLAH Ta'ala ki Khaas Nem'at Nazil ho Is Din ko Eid banana awr Khushiyan Manana Ibadatein karna awr Shukr Bajalana Swalaheen ka Tareeqa hai awr Kuch Shak nahi ke Sayyad E Aalam ﷺ ki Tashreef Aawari ALLAH Ta'ala ki Azeem Tareen Nem'at awr Buzurg Tareen Rehmat hai Isliye Huzoor ﷺ ki Wiladate Mubareka ke Din Eid Manana awr Melad Shareef padhkar Shukr E Ilahi bajalana awr Izhaare Farha awr Suroor karna Mustahsin O Mehmood awr ALLAH ke Maqbool Bando ka Tariqa hai". (Tafseer Khazain Ul Irfan) 




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ईमान के झंडे और शैतान के झंडे में क्या फ़र्क है* 06

क्या हुज़ूर ﷺ ने कभी सवाल करने वाले को मना फ़रमाया है* 05

क्या हुज़ूर ﷺ के विसाल के बाद से ही मस्जिदें नबवी शरीफ़ को गुम्बदे खज़रा कहा जाता है या पहले भी कहा जाता था* 02