08

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴





*🥀 Melad Ki Sharai Haisiyat 🥀*




بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*Post VIII*

♨ Melad Ki Khushi Manane Par Kafir Ke Azab Me kami ♨

✔ Sahih Bukhari Jild 2 me haike Abu Lahab ke marne ke b'ad Hazrat Abbas رضى الله عنه ne ise Khwab me buri halat me dekha awr pocha, Marne ke b'ad Tera kia haal raha ? Abu Lahab ne kaha, Tumse Juda hokar maine koi Rahat nahi payi siwae iske ke main thoda se Seraab kiya jata hoon kyunke maine Muhammad ﷺ ki Paidaish ki Khushi apni laundi Soyeba ko Azad kiya tha. 

Imam Ibn Jarzi رحمته الله عليه Farmate hain ke "Jab Huzoor ﷺ ke Melad ki Khushi ki wajah se Abu Lahab jaise Kafir ka yeh haal haike iske Azaab me kami kardi jati hai halanke iski Mazamat me Qur'an Nazil hua to Huzoor ﷺ ke Momin Ummati ka kia haal hoga jo Melad ki khushi me Huzoor ﷺ ki Mohabbat ke sabab Maal kharch karta hai. Qasam hai meri Umr ki iski Jaza yehi haike ALLAH Ta'ala usse apne Fazl O Karam se Jannat E Naeem me Dakhil farmade". (Muahib Al Duniya J1 P27, Matbua Misr)




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ईमान के झंडे और शैतान के झंडे में क्या फ़र्क है* 06

क्या हुज़ूर ﷺ ने कभी सवाल करने वाले को मना फ़रमाया है* 05

क्या हुज़ूर ﷺ के विसाल के बाद से ही मस्जिदें नबवी शरीफ़ को गुम्बदे खज़रा कहा जाता है या पहले भी कहा जाता था* 02