10

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴





*🥀 Melad Ki Sharai Haisiyat 🥀*




بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*Post X*

✔ Sayedah Aamna رضى الله عنهما Farmati hain "Maine 3⃣ Jhande bhi Dekhe, Ek Mashriq Me Ghada gaya Dusra Maghrib me awr Teesra Jhanda Khana E Ka'aba ki Chath par lehrahra tha". (Seerate Halbiya J1 P109) Isse Melad Un Nabi ﷺ Ke Mouqe Par Jhande lagane ki Asl bhi Sabit hogaye. 

Eid E Melad Un Nabi ﷺ Ke Mouqe par Juloos bhi nikala jata hai awr Na'rae Risalat Buland kiye jate hain. Iski Asl yeh Hadees Paak haike Jab Aaqa O Moula ﷺ Hijrat karke Madinah Tayeba Tashreef le aaye to Ahliyane Madinah ne Juloos ki Surat me Isteqbal kiya. Hadees Shareef me haike Mard awr Awratein Gharon ki Chatton par chardh gaye awr Bache awr Khuddam galiyon me Phail gaye Yeh Sab Ba Awaz Buland Kehrahe thy Ya Muhammad Ya Rasool ALLAH ﷺ Ya Muhammad Ya Rasool ALLAH ﷺ. (Sahih Muslim J2 Baab Al Hijrat)

💝 Mehboob E Kibriya ﷺ Ne Apna Melad Kaise Manaya 💝 

Nabi Kareem ﷺ ka Khud Apne Melad ka awr Apne Fazail ka Zikr Farmana pehle Mazkoor hochuka. Sahih Muslim me Hazrat Qatadah رضى الله عنه se marwi haike Aaqa O Moula ﷺ Har Peer (Monday) ke Din Roza Rakha karte thy. Aapse Iske Mutaliq daryaft kia gaya to Aapne Farmaya "Is Din Meri Wiladat Huye awr Isi Din Mujhpar Wahi Nazil Huye". Mohadaseen Farmate hain ke Aapne Har Peer ke Din Roza rakhkar Apna Melad Manaya awr Apne Melad ke Din ki Azmat ko Zahir kia awr Ibadat ke zariya Rab E Kareem ka Shukr ada kiya.




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ईमान के झंडे और शैतान के झंडे में क्या फ़र्क है* 06

क्या हुज़ूर ﷺ ने कभी सवाल करने वाले को मना फ़रमाया है* 05

क्या हुज़ूर ﷺ के विसाल के बाद से ही मस्जिदें नबवी शरीफ़ को गुम्बदे खज़रा कहा जाता है या पहले भी कहा जाता था* 02