MILAD KI SHARAI HAISIYAT 12

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴





*🥀 Melad Ki Sharai Haisiyat 🥀*




بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*Post XII*

☪ Mahafile Melad Ka Silsila Hamesha Se Jari Hai ☪

Jashn E Melad Un Nabi ﷺ Ki Sharai Haisiyat Bayan karne ke B'ad ab chnd Tareeqi Hawala jaat Pesh Khidmat hain Jinse Sabit hota haike Mahafile Melad ka Silsila Aalame Islaam me Hamesha se Jari hai.

👑 Mohaddis Ibn Jozi (597 H) رحمه الله Farmate Hain : "Makkah Mukarama, Madinah Tayeba, Yemen, Misr (Egypt), Shaam (Syria) awr Tamam Aalame Islaam ke Log Mashriq (East) se Maghrib (West) tak Hamesha se Huzoor E Akram ﷺ ki Wiladat Ba Sa'adat ke mouqe par Mahafile Melad ka Ineqad karte chale aarahe hain. Inme Sabse Ziada Ahtemam Aap ﷺ ki Wiladat ke Tazkireh ka Kiya jata hai awr Musalman in Mahafil ke zariye Ajr E Azeem awr Badi Ruhani Kamiyabi Pate hain". (Al Melad Un Nabwi P58)

👑 Imam Ibn Hajr (856 H) رحمه الله Farmate Hain : "Mahafile Melad O Azkaar Aksar Khair hi par Mushtamal hoti hain, Inme Sadq'at, Zikre Ilahi awr Bargahe Nabwi me Durood O Salaam Pesh kia jata hai". (Fatawa Hadisiya P169)

👑 Imam Suyuti (911 H) رحمه الله Farmate Hain : "Mere Nazdeek Melad keliye Ijtima Tilawate Qur'an, Hayate Tayebah ke Waqiyat awr Melad ke waqt Zahir hone wali Alam'at ka Tazkirah In Bidd'at E Husna me se hai jinpar Sawaab milta hai kyunke Isme Huzoor ﷺ ki Tazeem awr Aapki Wiladat par Khushi ka Izhaar hota hai". (Hasan Al Maqsad Fi Amal Al Mawlid Fil Haawi Lil Fatawa J1 P189) 




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

ईमान के झंडे और शैतान के झंडे में क्या फ़र्क है* 06

क्या हुज़ूर ﷺ ने कभी सवाल करने वाले को मना फ़रमाया है* 05

क्या हुज़ूर ﷺ के विसाल के बाद से ही मस्जिदें नबवी शरीफ़ को गुम्बदे खज़रा कहा जाता है या पहले भी कहा जाता था* 02