Jo log puchtey hain ki Sahaba radi allahu anhu ne Milad kyun nahi manaya wo pahley in sawalon ka jawab de de, unhey khud uska bhi Jawab mil jayega
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Jo log puchtey hain ki Sahaba radi allahu anhu ne Milad kyun nahi manaya wo pahley in sawalon ka jawab de de, unhey khud uska bhi Jawab mil jayega 🥀*
1.Kya Rasoollallah Sallalhu Aalihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma kabhi zer, zabar aur tashdeed (punctuation) wala Quran use kartey they...?? Quran bina zer, zabar aur tashdeed ke nazil hua tha.
2. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahaba radi allahu anhuma Eid ke din galey mithey they ?
3. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma apne Aapko salfi ya Ahl-e-hadith ya taablighi ya barelvi kahtey they  Rasoollallah Sallalhu Alihi wasallam aur sahaba apney naam ke saath kunniyat (yani walid ka naam) lagatey they na ki Salfi ya aur kuch.
4. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma kabhi tasbeeh ke daney use kartey they ? wo sab apney Haath ki ungliyon par tasbeeh parhtey they
5.Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ne Sarey Ramadhan tarweeh ek jamaat ke saath parhi thi ya parhayee thi ??Abu bakr radi allahu anhu ke zamaney tak log alag alag aur giroh giroh taraweeh parhtey they aur Hazrat umar radi allahu anhu ne sabko ek jamaat ke saath ada karney ka hukm diya aur ye bhi kaha ki نعم البدعة هذه kya hi Achchi Bidat hai
(Sahih bukhari, Vol 3, 2010)
6.Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma ne kabhi Quran ka Urdu ya English Tarjumah parha ?? Hona to ye chaiye tha ki jisey Quran ko samajhna ho wo Arbi sikhta aur usey samajhta kyunki Rasoollallah Sallalhu Alihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma ne Quran kareem ko Arbi mein parha aur usi language mein samjha.
7. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma ne kabhi internet par Dawat aur tablig ki thi.??
8.Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ke zamaney mein Jumaa ke din Do Azan di jati thi ??... Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur Abu Bakr aur Umar radi allahu anhu ke zamaney tak sirf ek hi adhan thi .Uthman radi allahu anhu ne Logon ki taadad badney ki wajah se Do Adhan karwayee.
9. Kya Rasoolallah Sallallhu Alaihi wasallam ke zamaney mein Quran ko 30 paro mein jamaa kiya gaya tha ?? Abu Bakr radi allahu aur digar sahaba ne Umar radi allahu anhu ke kahney par Quran ko 30 paro mein jamaa kiya
Sahaba Radi Allahu nahuma ne bhi Deen mein naye naye kaam nikaley they jo Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ke zamaney mein nahi hotey they aur usey accept kiya gaya kyunki wo Bidat-e-Hasna (yani achchi Bidat) hai aur Hazrat umar ne to yahan tak kaha tha ki kya hi achchi bidat hai
Ab Aap ye soch rahey hain honegy ki EK Hadith mein ye hai ki Deen mein Achchi achchi baatein nikal saktey hain aur dusri Hadith mein ye hai ki "….. Har Naya kaam Bidat hai aur har bidat gumrahi hai aur har gumnrahi jahannam mein le janey wali hai " to ek baat sun lijiye ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ki ek haidth kabhi dusri haidth ya Aayat se nahi takrati bahut se Muhaddesin ka ye Qaul hai ki ye Haidth gumarahi ki bidat ke liye hain ....jisko ek aur Hadith mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne saaf farma diya hai…
"...Jisney Gumarahi ki Bidat nikali jisey Allah aur uskey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam pasand nahi kartey to us par utna hi gunaah hai jitna us buraii ke karney walon par..aur is sey unkey gunaahon ke bojh mein bilkul kami nahi hogi."
Jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Haidth 573
Is hadith mein Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne lafz Gumrahi ki bidat (بدعة ضلالة ) kah kar Ummat ko ye bata diya ki kuch Bidate Gumrahi ki hain aur Bidat-e-Hasna bhi hain tabhi to Sahaba Radi Allahu anhhuma ne Deen mein Achchi bidat nikali warna sahaba radi allahu anhuma aisa koi kaam nahi kartey jo Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne nahi kiya.
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें